Bekabu hai dil phir bhi jiya ja raha hu,
Khali hao botal fir bhi piya ja raha hu,
Majburi to dekho is dil ki.
Reply nahi mil raha fir bhi msg kiya ja raha hu.

Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya.

Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga..

Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar.

Haqiqat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno is dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana..
|
|
|
|